Rab Kare Zindagi Mein Aisa Mukaam Aaye,
Meri Rooh Aur Jaan Aapke Kaam Aaye,
Har Dua Mein Bas Yehi Maangte Hain Rab Se,
Ki Agle Janam Mein Bhi Aapke Naam Ke Sath Mera Naam Aaye..
Tere haath ki main wo lakeer ban jaun,
Sirf main hi tera muqadar teri taqdeer ban jaun,
Main tujhe itna chaho k tu bhool jaye har rishta
Sirf main hi tere har rishte ki tasveer ban jaun,
Tu ankhein band kare to aaun main hi nazar,
Es tarah main tere har khawab ki tabeer ban jau.
Agar Thak Jaao Kabhi Toh Humse Kahna
Hum Utha Lenge Tumko Apni Baahon Mein
Aap Ek Baar Pyar Karke Toh Dekho Humse
Hum Khusiyan Bichha Denge Aapki Raahon Mein
Kuch Ulje Sawalo Se Darta Hai Dil,
Jane Kyun Tanhai Mein Bikharta Hai Dil,
Kisi Ko Panne Ki Ab Koi Chahat Nahi,
Bas Kuch Apno Ko Khone Se Darta Hai Dil….
Jis Din Aap Jami par aaye,
wo Asman Bhi Khub Roya Tha,
Akhir Uske Ansu Thamte Bhi Kaise,
Usne Hamare Liye
Apna Sabse Pyara Sitara Jo Khoya Tha.
Ek aas, ek ehsaas,
Meri soch aur bus tum,
Ek sawal, ek majaal,
Tumhara khayal or bs tum,
Ek baat, ek shaam,
Tumhara sath or bus tum,
Ek dua, ek faryad,
Tumhari yaad or bus tum,
Mera junoon, mera sukoon
Bus tum or bus tum!!
Har Sham Se Tera Izhaar Kiya Karte Hai,
Har Khwab Me Tera Didar Kiya Karte Hai,
Diwane Hi To Hai Hum Tere,
Jo Har Waqt Tere Milne Ka Intzaar Kiya Karte Hai !!
Udas nahi hona kyon ki main saath hoon,
Saamne na sahi par aas-paas hoon,
Palkon ko band kar jab bhi dil mein dekhoge,
Main har pal tumhare sath hu!
Tere Bina Tutkar Bikhar Jayenge,
Tum Mil Gaye To Gulshan Ki Tarah Khil Jayenge,
Tum Na Mile To Jite Ji Mar Jayenge,
Tumhe Paa Liya To Markar Bhi Jee Jayenge.
Sukun Milta Hai Jab Unse Baat Hoti Hai,
Hajaar Raaton Mein Woh Ek Raat Hoti Hai,
Nigah Uthakar Jab Dekhte Hain Woh Meri Taraf,
Mere Liye Wohi Pal Poori Kaaynat Hoti Hai.
Jane Us Shakhs Ko Kaise Ye Hunar Aata Hai,
Raat Hoti Hai To Aakho Me Utar Aata Hai,
Main Us Ke Khayalo Se Bach Ke Kahan Jaaun,
Wo Meri Soch Ke Har Raste Pe Najar Aata Hai.
Tujhe Dekhu To Sara Jaha Rangeen Nazar Aata Hai,
Tere Bina Dil Ko Chain Kaha Aata Hai,
Tum Hi Ho Mere Dil Ki Dharkan,
Tere Bina Ye Sansar Suna Suna Nazar Aata Ha
Fark Hota hai khuda aur Fakir me,
Fark hota hai kismat aur Lakir me,
Agar kuch Chaho Aur na Mile To samaj Lena ki,
kuch aur Accha Likha hai Takdir me
Khata Ho Gayi To Saja Bata Do,
Dil Me Itna Dard Kyu Hai Wajah Bata Do,
Der Ho Gayi Hai Yaad Karne Me Jarur,
Lekin Tumko Bhula Denge Ye Khayal Dil Se Mita Do
Apni zindagi ka alag usool hain,
Pyar ki khatir to kante bhi qubool hai,
Hans ke chal du kaanch ke tukdo par,
Agar pyar kahe ye mere bichaye hue phool hai….
Zamane se nahin hum tanhai se darte hain,
Pyar se nahin hum rusvayee se darte hain,
Dil mein umang hai tujhse milne ki,
Par milne ke baad aane wali judaai se darte hain
Mana ki kismat pe mera koi zor nahi,
Par ye sach hai ki mohabbat meri kamjor nahi,Us ke dil mein,
uski yaadon mein koi aur hai lekin,
Meri har saans mein uske siwaa koi aur nahi
Utar ke dekh meri chahat ki gehrai mein,
Sochna mere bare mein raat ki tanhai mein,
Agar ho jaye meri chahat ka ehsas tumhein,
To milega mera aks tumhein apni hi parchhai mein
Kyun Vada Karke Nibhana Bhool Jate Hain,
Laga Kar Aag Fir Wo Bujhana Bhool Jate Hain,
Aisi Aadat Ho Gayi Hai Ab To Sanam Ki,
Rulate To Hain Magar Manana Bhool Jate Hain
Jeene Ki Khwahish Mein Har Roz Marte Hain,
Woh Aaye Na Aaye Hum Intezaar Karte Hain,
Jhutha Hi Sahi Mere Yaar Ka Vaada Hai,
Hum Sach Maankar Aitbar Karte Hain…
Chah Kar Bhi Juda Na Reh Sakoge,
Khafa Ho Ke Bhi Khafa Na Reh Sakoge,
Hum Rishta Hi Kuch Aise Nibhayege,
Ki Aap Humare Bina Na Reh Sakoge.
Najar ne najar se mulaqat kar li,
rahe khamosh dono aur baat kar li,
mohabbat ki fizza ko jab khush paya,
en aankho ne ro ro ke barsat kar li
Jaam pe jaam pine se kya fayda,
Shaam ko pee subah utar jayegi,
do boond mere pyar ki pee le,
Zindagi sari nashe me gujar jayegi
Main aadat hu uski woh zarurat hain meri,
Main farmayish hu uski woh zindagi hai meri,
Itni aasani se kaise nikal du use apne dil se,
Main khwab hu uska woh hakikat hain meri
Khyalon Mein Wahi Sapno Mein Wahi,
Lekin Unki Yaadon Mein Hum The Hi Nahi,
Hum Jaagte Rahe Duniya Soti Rahi,
Ek Baarish Hi Thi Jo Humare Sath Roti Rahi
Humdum To Sath Sath Chalte Hain,
Raaste To Bewafa Badalte Hain,
Tera Chehra Hai Jab Se Aankhon Mein,
Meri Aankhon Se Log Jalte Hain
Khushboo Bankar Teri Saanso Mein Sama Jayenge,
Sukun Bankar Tere Dil Mein Utar Jayenge,
Mehsus Karne Ki Koshish To Kijiye,
Dur Rahte Hue Bhi Pass Najar Aayenge
Tera Intezaar Mujhe Har Pal Rehta Hai,
Har Lamha Mujhe Tera Ehsaas Rehta Hai,
Tujh Bin Dhadkane Rukk Si Jaati Hai,
Ki Tu Mere Dil Me Meri Dhadkan Banke Rehta Hai
Yaadon Me Humari Aap Bhi Khoye Honge,
Khuli Aankho Se Kbhi Aap Bhi Soye Honge,
Mana Hasna Hain Adaa Gam Chhupane Ki,
Par Haste Haste Kabhi Aap Bhi Roye Honge
Hum Mohabbat Ki Kabhi Numaish Nahi Karte,
Hum Lafzon Ki Bhi Pamaish Nahi Karte,
Jise Chahte Hai Ham Toot Ke Chahte Hai,
Badle Mein Pyar Ki Khawaish Tak Nahi Karte
Rasto Mein Pathron Ki Kami Nahi Hoti,
Dil Mein Khwabo Ki Kami Nahi Hoti,
Hum Chahte Hai Unko Apna Banana
Par Unke Paas Apno Ki Kami Nahi Hoti
Jb kisi k sapne kisi k arman ban jaye,
Jb kisi ki hasi kisi ki muskan ban jaye,
Pyar kehtey hain ussey
Jb kisi ki saanse kisi ki jaan ban jaye
Kbhi alfaaz bhul jau kabhi khayal bhul jaau,
Tujhe es kadar chahu k apni saans bhul jau,
Uth kar tere paas se jo main chal doon
Toh jaate huye khud ko tere paas bhul jaau
Do baatein unse ki to dil ka dard kho gaya,
Logo ne humse pucha aaj tumhe kya ho gya,
Hum bekrar aankho se sirf has paaye
Ye bhi na keh paye ki hume pyar ho gaya
Pyar ke panno se bhari kitab ho tum,
Rishton ke phulo me gulab ho tum,
Kuchh log kehte hai ki pyar sacha nhi hota,
Un logon ke har sawaal ka jawab ho tum
Ruth jao kitna bhi mana lenge,
Dur jao kitna bhi bula lenge,
Dil aakhir dil hai
sagar ki ret to nhi Ki naam likh kar usse mita denge
Sirf najdikiyon se mohabbat hua nahi karti,
Fasle jo dilon mein ho to fir chahat hua nhi karti,
Agar naraz ho khafa ho to shikayat karo hamse,
Khamosh rahne se dilon ki duriyan mita nahi karti
Chand Ke Nikalne Se Dikhti Hai Aapki Jhalak,
Aap Samne Hote Ho To Na Jhapakti Hai Palak,
Aapke Aage Feeki Lagti Hai Hire Ki Chamak,
Aur Aap Se Hi To Aati Hai Zindagi Mein Ronak
Tum hanso to khushi Mujhe hoti hai,
Tum udas ho to ankhen Meri roti hain,
Tum dor ho to bechaini Mujhe hoti hai,
Tum ehsaas kar ke dekh lo mohabbat aisi hoti hai
Aap khud nahi janti aap kitni pyari ho
Jaan ho hamari par jaan se pyaari ho
Duriyon ke hone se koi fark nahi padta
Aap kal bhi hamari thi aaj bhi hamari ho…!!
Kitna pyar hai tumse yeh jan lo
Tum hi zindagi ho meri Is baat ko maan lo
Tumhe dene ko mere paas Kuchh bhi nahi
Bas ek jaan hai Jab ji chahe maang lo..
Aapki Ada Se Hum Madhosh Ho Gaye,
Aap Ne Palat Kar Dekha To Hum Behosh Ho Gaye,
Yehi Ek Baat Kehni Thi Aapse,
Na Jaane Kyun Aapko Dekhthe Hi Hum Khamosh Ho Gaye.
sirph dostee paas hone ka naam nahin,
agar tum door bhee hamen yaad karo,
isase bada hamaare lie koee inaam nahin.!
tum dost banake aise aao zindagee mein,
ki ham ye saagarana hee bhool gae,
eeshvar yaad aae na aae hamaaree kabhee,
par ham to doston ko hee bhool gae.
ai mukddar ke sikandaramu par ek ehasaan karana ,
mere dost ke muddar mein bas muskuraana,
dard kee parachhaee bhee us par na pade,
chaahe to usake muddar mein meree jaan likhana.!
Raushanee ke lie diya jalata hain,
Shama ke lie paravaana jalata hain,
Koee dost na ho to dil jalata hain,
Aur dost aap jaisa ho to zamaana jalata hain.!
zindagee to pal pal chalatee hee rahatee hai, raushanee bhee har pal milatee hee rahatee hai, pyaar kee mahak bhee milatee hee rahatee hai, par sachchee dostee bahut kam hee milatee rahatee hai.
Log kahate hain zameen par kisee ko khuda nahin milata,
Shaayad un logon ko dost tum-sa nahin milata.
Aasamaan se tod kar sitaara diya hai,
Aalam-e-tanhaee mein ek sharaara diya hai,
Meree kismat bhee naaz karatee hai mujhape,
Khuda ne dost hee itana pyaara diya hai.!
Koshish koi aapse na rute,
Zindagi me apno ke sath na chute,
Dosti koi bhi ho use aisa nibhao,
Ki us dosti ki door zindagi bhar na toote.
Saath rehthe yoon hi waqt gujar jayega,
Dur hone ke baad kaun kise yaad aayega,
Jee lo ye pal jab tak sath hai dostho,
Kal ka kya patha waqt kahan le ke jayega.
Kaun kis se chahkar door hotha hai,
Har koi apne halaathon se majabur hotha hai,
Ham tho bas ithna janthe hai,
Har rishtha moti aur har dosth kohinur hotha hai.
Bade he ajeeb hain ye zindagi ke raste,
anjaan mod par kuch log apne ban jate hain.
Milne ki khushsi den ya na den
magar bichdne ka gham zaroor de jate hain.
Har pal naya saaz hai zindagi
aik nai aawaz hai zindagi.
Kitna hanse ktna roye
iska hisab hai zindagi.
Uda bhee do saaree ranjishen in havaon mein yaaron.
Chhotee see jindagee hai napharat kabatak karoge.
Ghamand na karana jindagee mein taqadeer badalatee rahatee hai.
Sheesha vahee rahata hai bas tasveer badalatee rahatee hai.
Kitna hi sulajh jaye, Apne se hum. Ye zindagi hai janab kbhi kbhi apni baaton me hamein, Uljha hi leti hai……
Dekha Hai Zindagi Ko Kuchh Itna Kareeb Se,
Chehre Tamaam Lagne Lage Hain Ab Toh Ajeeb Se.
Ye Mat Puchhna Ki Zindagi, Khusi Kab Deti Hai?
Kyonki Shikayaten To Unhe Bhi Hai, Jinhe Zindagi Sab Kuchh Deti hai.
Zindagi Ek Haseen Khwab Hai,
Jisme Jeene Ki Chahat Honi Chahiye,
Gham Khud Khushi Me Badal Jayenge,
Sirf Muskurane Ki Aadat Honi Chahiye.
Kisi ko dil se chahna bura to nahin,
Kisi ko dil me basana bura to nahin,
Gunah hoga zamane ki nazar me to kya hua
Zamane wale bhi insaan hain khuda to nahi.
Hum jeet naa sakey
Wo aisi shart lagane lage,
Apni Pyari si ankho ko
Hmari ankho se Larane lage,
Hum Jeet hi jate par
Palak hamne tab jhapka li,
Jab unki ankho se aansu ane lage
Wo zindagi hi kya jisme mohabbbt nhi,
Wo mohaabat hi kya jisme yadein nhi,
Wo yadein hi kya jis me tum nahi,
Aur wo tum hi kya jis ke sath hum nahi.
Teri mohabbat se mujhe inkar nahin
Kon kehta hai jaan mujhe tujhse pyar nhi
Tujh se waada hain saath nibhane ka
Par mujhe apni saanson pe aitebar nahin.
Teri dharkan hi jindagi ka kissa hai mera,
Tu Jindagi ka ek aham hissa hai mera,
Meri Mohabbat tujhse,Sirph Laphjo ka Nahi hai,
Teri Ruh se ruh tak ka rishta hai mera
Meree deevaanagee kee koee had nahin,
teree soorat ke siva mujhe kuchh yaad nahin,
main phool hoon tere gulashan ka,
ek tere siva mujh pe kisee ka haq nahin….
Aapke is pyar me hum kuch aisa kar jayenge,
Khushboo bankar hawa me bikhar jayenge,
Agar chaho hume bhulna to saanso ko rok lena,
agar saans loge to hum dil me utar jayenge…
Kaee chehare lekar log yahaan jiya karate hain ,
Ham to bas ek hee chehare se pyaar karate hain ,
Na chhupaaya karo tum is chehare ko,
Kyonki ham ise dekh ke hee jiya karate hain
Na Sath Hai Kisi Ka Na Sahara Hai Koi
Na Ham Hain Kisi Ke Na Hmara Hai Koi
Chehre ki hasi se har gam chupao
Bahut kuchh bolo par kuchh na batao
Khud na rutho kabhi par sabko manao
Ye raz hai zindagi ka, bas jeete jao
Phir se tere mehfil mein chala aya hu
Andaz wahi h bs alfaz naye laya hu
Saza hume ye kaisi mili dil lagane ki
Ro rahe magar tamnna thi muskurane ki
Apna dard kise dikhau aye dost
Dard bhi usine diya jo wajah thi muskurane ki
Woh humsey apni marzi se baat krtey hai
aur hum bhi kitney pagal hai ke unki marji ka intezar kartey hai
Yaad karte hai tumhe tanhai me
Dil duba hai gamo ki gehrai me
Hume mat dhundna duniya ki bhid me
Hum milenge tumhe tumhari hi parchai me
Hamari Dastan Use Kaha Kabul Thi
Meri Wafayen Uske Liye Fizool Thi
Koi Aas Nahi Lekin Itna Bata Do
Maine Chaha Use Kya Ye Meri Bhool thi
Phir wohi raat wohi hum wohi tanhaai hai
Phir har ik chott mohabbat ki ubhar aayi hai
Bahut Dur Magar Bahut Paas Rehte Ho
Aankhon Se Dur Magar Dil Ke Paas Rehte Ho
Mujhe Bas Itna Bataa Do Ae Dost
Kya Tum Bhi Mere Bina Udaas Rehte Ho
Nikalta chand sabko pasand aata hai
Doobta suraj kaun dekhna chahta hai
Toot’ta hua taara sabki dua isliye poori karta hai
Kyuki use tootne ka dard maalum hota hai